Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae

Hameed Jalandhari

ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae

Hameed Jalandhari

ai dost dard-e-dil mudāvā kiyā na jaa.e

va.ada agar kiyā hai to iifā kiyā na jaa.e

aane lage haiñ vo bhī ayādat ke vāste

ai chārāgar marīz ko achchhā kiyā na jaa.e

majbūriyoñ ke raaz na khul jaa.eñ ba.ad-e-marg

qātil hamāre qatl charchā kiyā na jaa.e

aa.egī apne lab pe to hogī parā.ī baat

lāzim hai rāz-e-dil kabhī ifshā kiyā na jaa.e

vo ḳhud jaan leñge mire dil mudda.ā

behtar yahī hai arz-e-tamannā kiyā na jaa.e

ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae

wada agar kiya hai to ifa kiya na jae

aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste

ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae

majburiyon ke raaz na khul jaen baad-e-marg

qatil hamare qatl ka charcha kiya na jae

aaegi apne lab pe to hogi parai baat

lazim hai raaz-e-dil kabhi ifsha kiya na jae

wo KHud hi jaan lenge mere dil ka muddaa

behtar yahi hai arz-e-tamanna kiya na jae

Source :
  • Book : Shaam e Sehra (Pg. 159)
  • Author : Hameed Jalandhari
  • Publication : Maktaba Karwaan, Lahore (1975)
  • Edition : 1975
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now