sadaqat ka jo paighambar raha hai
sadāqat kā jo paiġhambar rahā hai
vo ab sach bolne se Dar rahā hai
kahānī ho rahī hai ḳhatm shāyad
koī kirdār mujh meñ mar rahā hai
zarā sī der ko āñdhī rukī hai
parinda phir uḌāneñ bhar rahā hai
mire ahbāb kho jā.eñge ik din
mujhe ye vahm sā aksar rahā hai
lagī hai raushnī kī shart shab se
sitāra jugnuoñ se Dar rahā hai
sadaqat ka jo paighambar raha hai
wo ab sach bolne se Dar raha hai
kahani ho rahi hai KHatm shayad
koi kirdar mujh mein mar raha hai
zara si der ko aandhi ruki hai
parinda phir uDanen bhar raha hai
mere ahbab kho jaenge ek din
mujhe ye wahm sa aksar raha hai
lagi hai raushni ki shart shab se
sitara jugnuon se Dar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.