ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya
adā huā na qarz aur vajūd ḳhatm ho gayā
maiñ zindagī kā dete dete suud ḳhatm ho gayā
na jaane kaun sī adā burī lagī thī ruuh ko
badan kā phir tamām khel-kūd ḳhatm ho gayā
muāhade zamīr se to kar liye ga.e magar
masarratoñ kā daura-e-vafūd ḳhatm ho gayā
badan kī āstīn meñ ye ruuh saañp ban ga.ī
vajūd kā yaqīñ huā vajūd ḳhatm ho gayā
bas ik nigāh Daal kar maiñ chhup gayā ḳhalāoñ meñ
phir is ke ba.ad barf kā jumūd ḳhatm ho gayā
majāz kā sunahrā husn chhā gayā nigāh par
khulī jo aañkh jalva-e-shuhūd ḳhatm ho gayā
ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya
main zindagi ka dete dete sud KHatm ho gaya
na jaane kaun si ada buri lagi thi ruh ko
badan ka phir tamam khel-kud KHatm ho gaya
muahade zamir se to kar liye gae magar
masarraton ka daura-e-wafud KHatm ho gaya
badan ki aastin mein ye ruh sanp ban gai
wajud ka yaqin hua wajud KHatm ho gaya
bas ek nigah Dal kar main chhup gaya KHalaon mein
phir is ke baad barf ka jumud KHatm ho gaya
majaz ka sunahra husn chha gaya nigah par
khuli jo aankh jalwa-e-shuhud KHatm ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.