Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai

Fay Seen Ejaz

achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai

Fay Seen Ejaz

achchhī-ḳhāsī rusvā.ī sabab hotī hai

dūsrī aurat pahlī jaisī kab hotī hai

kuchh mafhūm samajh kar āñkheñ bol uTThīñ

sargoshī to yūñhī zer-e-lab hotī hai

koī masīhā shāyad us ko chhū guzrā

dil ke andar itnī raushnī kab hotī hai

taare TuuT ke dāman meñ gir jaate haiñ

jab mehmān yahāñ ik duḳhtar-e-shab hotī hai

ik be-dāġh dupaTTe meñ pākīza nuur

kitnī ujlī us namāz meñ chhab hotī hai

girī paḌī dekhī hai saḌak par tanhā.ī

pichhle pahar ko shahr niiñd ajab hotī hai

aksar maiñ ne qabristān meñ ġhaur kiyā

apnī miTTī apne haath meñ kab hotī hai

ab lagtā hai ik dil bhī hai siine meñ

pahle kuchh taklīf nahīñ thī ab hotī hai

ishq kiyā to apnī nādānī thī

varna duniyā jaan dushman kab hotī hai

qadam qadam par ham ne aap se nafrat

aisī mohabbat dil meñ kisī ke kab hotī hai

jaise ik jannat ne.amat mil jaa.e

mere liye to ghar fazā sab hotī hai

Dūbne vaalā phir uupar aa jaatā hai

kabhī kabhī dariyā mauj ġhazab hotī hai

rashk se merā chehra taktī hai duniyā

jaan dushman us surḳhī-e-lab hotī hai

achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai

dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai

kuchh mafhum samajh kar aankhen bol uTThin

sargoshi to yunhi zer-e-lab hoti hai

koi masiha shayad us ko chhu guzra

dil ke andar itni raushni kab hoti hai

tare TuT ke daman mein gir jate hain

jab mehman yahan ek duKHtar-e-shab hoti hai

ek be-dagh dupaTTe mein pakiza nur

kitni ujli us ki namaz mein chhab hoti hai

giri paDi dekhi hai saDak par tanhai

pichhle pahar ko shahr ki nind ajab hoti hai

aksar main ne qabristan mein ghaur kiya

apni miTTi apne hath mein kab hoti hai

ab lagta hai ek dil bhi hai sine mein

pahle kuchh taklif nahin thi ab hoti hai

ishq kiya to apni hi nadani thi

warna duniya jaan ki dushman kab hoti hai

qadam qadam par hum ne aap se nafrat ki

aisi mohabbat dil mein kisi ke kab hoti hai

jaise ek jannat ki neamat mil jae

mere liye to ghar ki faza hi sab hoti hai

Dubne wala phir upar aa jata hai

kabhi kabhi dariya ki mauj ghazab hoti hai

rashk se mera chehra takti hai duniya

jaan ki dushman us ki surKHi-e-lab hoti hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now