Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab parindon ki yahan naql-e-makani kam hai

Abbas Tabish

ab parindon ki yahan naql-e-makani kam hai

Abbas Tabish

ab parindoñ yahāñ naql-e-makānī kam hai

ham haiñ jis jhiil pe us jhiil meñ paanī kam hai

ye jo maiñ bhāgtā huuñ vaqt se aage aage

merī vahshat ke mutābiq ye ravānī kam hai

de mujhe anjum-o-mahtāb se aage ḳhabar

mujh se faanī ke liye ālam-e-fānī kam hai

ġham talḳhī mujhe nashsha nahīñ hone detī

ye ġhalat hai ki tirī chiiz purānī kam hai

ġhaib ke baaġh vo bhed khulā hai mujh par

jis iblāġh parindoñ zabānī kam hai

hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkār

ik mohabbat ke liye ek javānī kam hai

itnā mushkil to na thā gum-shudagāñ milnā

ham ne ai dasht tirī ḳhaak chhānī kam hai

is samay maut ḳhushbū ke muqābil 'tābish'

kisī āñgan meñ khilī rāt-kī-rānī kam hai

ab parindon ki yahan naql-e-makani kam hai

hum hain jis jhil pe us jhil mein pani kam hai

ye jo main bhagta hun waqt se aage aage

meri wahshat ke mutabiq ye rawani kam hai

de mujhe anjum-o-mahtab se aage ki KHabar

mujh se fani ke liye aalam-e-fani kam hai

gham ki talKHi mujhe nashsha nahin hone deti

ye ghalat hai ki teri chiz purani kam hai

ghaib ke bagh ka wo bhed khula hai mujh par

jis ka iblagh parindon ki zabani kam hai

hijr ko hausla aur wasl ko fursat darkar

ek mohabbat ke liye ek jawani kam hai

itna mushkil to na tha gum-shudagan ka milna

hum ne ai dasht teri KHak hi chhani kam hai

is samay maut ki KHushbu ke muqabil 'tabish'

kisi aangan mein khili raat-ki-rani kam hai

Source :
  • Book : Ishq Abaab (Pg. 547)
  • Author : Abbas Tabish
  • Edition : 2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now