Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

Abhishek Shukla

ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

Abhishek Shukla

ab iḳhtiyār meñ maujeñ na ye ravānī hai

maiñ bah rahā huuñ ki merā vajūd paanī hai

maiñ aur merī tarah bhī ik haqīqat hai

phir is ke ba.ad jo bachtā hai vo kahānī hai

tire vajūd meñ kuchh hai jo is zamīñ nahīñ

tire ḳhayāl rañgat bhī āsmānī hai

zarā bhī daḳhl nahīñ is meñ in havāoñ

hameñ to maslahatan apnī ḳhaak uḌānī hai

ye ḳhvāb-gāh ye āñkheñ ye merā ishq-e-qadīm

har ek chiiz mirī zaat meñ purānī hai

vo ek din jo tujhe sochne meñ guzrā thā

tamām umr usī din tarjumānī hai

navāh-e-jāñ meñ bhaTaktī haiñ ḳhushbueñ jis

vo ek phuul ki lagtā hai rāt-rānī hai

irādatan to kahīñ kuchh nahīñ huā lekin

maiñ rahā huuñ ye sāñsoñ ḳhush-gumānī hai

ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

main bah raha hun ki mera wajud pani hai

main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai

phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai

tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin

tere KHayal ki rangat bhi aasmani hai

zara bhi daKHl nahin is mein in hawaon ka

hamein to maslahatan apni KHak uDani hai

ye KHwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim

har ek chiz meri zat mein purani hai

wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha

tamam umr usi din ki tarjumani hai

nawah-e-jaan mein bhaTakti hain KHushbuen jis ki

wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai

iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin

main ji raha hun ye sanson ki KHush-gumani hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now