Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum

Nomaan Shauque

aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum

Nomaan Shauque

āsmānoñ se zamīñ taraf aate hue ham

ek majme ke liye sher sunāte hue ham

kis gumāñ meñ haiñ tire shahr ke bhaTke hue log

dekhne vaale palaT kar nahīñ jaate hue ham

kaisī jannat ke talabgār haiñ jāntā hai

terī likkhī huī duniyā ko miTāte hue ham

rail dekhī hai kabhī siine pe chalne vaalī

yaad to hoñge tujhe haath hilāte hue ham

toḌ Dāleñge kisī din ghane jañgal ġhurūr

lakḌiyāñ chunte hue aag jalāte hue ham

tum to sardī hasīñ dhuup chehra ho jise

dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham

ḳhud ko yaad aate be-sāḳhta hañs paḌte haiñ

kabhī ḳhat to kabhī tasvīr jalāte hue ham

aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum

ek majme ke liye sher sunate hue hum

kis guman mein hain tere shahr ke bhaTke hue log

dekhne wale palaT kar nahin jate hue hum

kaisi jannat ke talabgar hain tu jaanta hai

teri likkhi hui duniya ko miTate hue hum

rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali

yaad to honge tujhe hath hilate hue hum

toD Dalenge kisi din ghane jangal ka ghurur

lakDiyan chunte hue aag jalate hue hum

tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise

dekhte rahte hain diwar se jate hue hum

KHud ko yaad aate hi be-saKHta hans paDte hain

kabhi KHat to kabhi taswir jalate hue hum

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 27)
  • Author : Nomaan Shauq
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now