waqt-e-ruKHsat kahin tare kahin jugnu aae
vaqt-e-ruḳhsat kahīñ taare kahīñ jugnū aa.e
haar pahnāne mujhe phuul se baazū aa.e
bas ga.ī hai mire ehsās meñ ye kaisī mahak
koī ḳhushbū maiñ lagā.ūñ tirī ḳhushbū aa.e
maiñ ne din raat ḳhudā se ye du'ā māñgī thī
koī aahaT na ho dar par mire aur tū aa.e
us kī bāteñ ki gul-o-lāla pe shabnam barse
sab ko apnāne kā us shoḳh ko jaadū aa.e
in dinoñ aap kā 'ālam bhī 'ajab 'ālam hai
shoḳh khāyā huā jaise koī aahū aa.e
us ne chhū kar mujhe patthar se phir insān kiyā
muddatoñ baa'd mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e
waqt-e-ruKHsat kahin tare kahin jugnu aae
haar pahnane mujhe phul se bazu aae
bas gai hai mere ehsas mein ye kaisi mahak
koi KHushbu main lagaun teri KHushbu aae
main ne din raat KHuda se ye du'a mangi thi
koi aahaT na ho dar par mere aur tu aae
us ki baaten ki gul-o-lala pe shabnam barse
sab ko apnane ka us shoKH ko jadu aae
in dinon aap ka 'alam bhi 'ajab 'alam hai
shoKH khaya hua jaise koi aahu aae
us ne chhu kar mujhe patthar se phir insan kiya
muddaton ba'd meri aankhon mein aansu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.