sab se awwal kar do mujhko
sab se avval kar do mujh ko
apnā kājal kar do mujh ko
muddat se huuñ yaar adhūrā
yaar mukammal kar do mujh ko
dhuup paḌe to chhāñv banūñ maiñ
apnā āñchal kar do mujh ko
aañkh khule to tujh ko DhūñDhuñ
itnā be-kal kar do mujh ko
marte dam tak yaad rahe jo
aisā hī pal kar do mujh ko
sab se awwal kar do mujh ko
apna kajal kar do mujh ko
muddat se hun yar adhura
yar mukammal kar do mujh ko
dhup paDe to chhanw banun main
apna aanchal kar do mujh ko
aankh khule to tujh ko DhunDhun
itna be-kal kar do mujh ko
marte dam tak yaad rahe jo
aisa hi pal kar do mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.