chandni raat baDi der ke baad aai hai
chāñdnī raat baḌī der ke baa'd aa.ī hai
lab pe ik baat baḌī der ke baa'd aa.ī hai
jhuum kar aaj ye shab-rañg laTeñ bikhrā de
dekh barsāt baḌī der ke baa'd aa.ī hai
dil-e-majrūh kī ujḌī huī ḳhāmoshī se
bū-e-naġhmāt baḌī der ke baa'd aa.ī hai
aaj kī raat vo aa.e haiñ baḌī der ke baa'd
aaj kī raat baḌī der ke baa'd aa.ī hai
aah taskīn bhī ab 'saif' shab-e-hijrāñ meñ
aksar auqāt baḌī der ke baa'd aa.ī hai
chandni raat baDi der ke ba'd aai hai
lab pe ek baat baDi der ke ba'd aai hai
jhum kar aaj ye shab-rang laTen bikhra de
dekh barsat baDi der ke ba'd aai hai
dil-e-majruh ki ujDi hui KHamoshi se
bu-e-naghmat baDi der ke ba'd aai hai
aaj ki raat wo aae hain baDi der ke ba'd
aaj ki raat baDi der ke ba'd aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran mein
aksar auqat baDi der ke ba'd aai hai
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 28)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.