aap gardan hain haram mein hum harim-e-yar mein
aap gardāñ haiñ haram meñ ham harīm-e-yār meñ
farq kyā hai shaiḳh sāhib momin-o-kuffār meñ
sheḳh-o-panDit kyā dikhā.eñge hameñ rāh-e-najāt
ik asīr-e-tauq-e-tasbīh qaid ik zunnār meñ
pāk-bāzī hai baḌī tauhīn-e-rahmat shaiḳh jī
kījiye kuchh to ḳhatā gar hai yaqīñ ġhaffār meñ
chhīn lenā yā-ḳhudā mujh se mire lauh-o-qalam
gar zavāl aa.e mire ash'ār ke me.aar meñ
tum ne to ka.abe meñ bhī dekhā nahīñ vaa.iz use
ham ko aatā hai nazar vo sūrat-e-dildār meñ
chashm-dīd us ke hazāroñ aur gavāh ik bhī nahīñ
sāmne sab ke huā thā qatl kal bāzār meñ
jurm pe qaabū kiyā ham ne na.ī tarkīb se
ab burī ḳhabreñ nahīñ chhaptīñ kisī aḳhbār meñ
sar-phirā koī banā hai nāzim-e-gulshan 'sadā'
hukm hai ik rang ke bas gul khileñ gulzār meñ
aap gardan hain haram mein hum harim-e-yar mein
farq kya hai shaiKH sahib momin-o-kuffar mein
sheKH-o-panDit kya dikhaenge hamein rah-e-najat
ek asir-e-tauq-e-tasbih qaid ek zunnar mein
pak-bazi hai baDi tauhin-e-rahmat shaiKH ji
kijiye kuchh to KHata gar hai yaqin ghaffar mein
chhin lena ya-KHuda mujh se mere lauh-o-qalam
gar zawal aae mere ash'ar ke mear mein
tum ne to kabe mein bhi dekha nahin waiz use
hum ko aata hai nazar wo surat-e-dildar mein
chashm-did us ke hazaron aur gawah ek bhi nahin
samne sab ke hua tha qatl kal bazar mein
jurm pe qabu kiya hum ne nai tarkib se
ab buri KHabren nahin chhaptin kisi aKHbar mein
sar-phira koi bana hai nazim-e-gulshan 'sada'
hukm hai ek rang ke bas gul khilen gulzar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.