Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen jinko dekh na paen sapnon mein bikhra dena

Rais Farogh

aankhen jinko dekh na paen sapnon mein bikhra dena

Rais Farogh

MORE BYRais Farogh

    āñkheñ jin ko dekh na paa.eñ sapnoñ meñ bikhrā denā

    jitne bhī haiñ ruup tumhāre jīte-jī dikhlā denā

    raat aur din ke biich kahīñ par jaage so.e rastoñ meñ

    maiñ tum se ik baat kahūñgā tum bhī kuchh farmā denā

    ab rut meñ jab dhartī ko barkhā mahkār mile

    mere badan miTTī ko bhī rañgoñ meñ nahlā denā

    dil dariyā hai dil sāgar hai is dariyā is sāgar

    ek lahr āñchal thāme saarī umar bitā denā

    ham bhī lai ko tez kareñge būñdoñ bauchhār ke saath

    pahlā sāvan jhūlne vaalo tum bhī peñg baḌhā denā

    fasl tumhārī achchhī hogī jaao hamāre kahne se

    apne gaañv har gorī ko na.ī chunariyā denā

    ye mire paude ye mire panchhī ye mire pyāre pyāre log

    mere naam jo bādal aa.e bastī meñ barsā denā

    hijr aag meñ ai havāo do jalte ghar agar kahīñ

    tanhā tanhā jalte hoñ to aag meñ aag milā denā

    aaj dhanak meñ rañg na hoñge vaise bahlāne ko

    shaam hue par niile piile kuchh ballōn uḌā denā

    aaj raat koī bairāgan kisī se aañsū badlegī

    bahte dariyā uḌte bādal jahāñ bhī hoñ Thahrā denā

    jaate saal āḳhirī shāmeñ bālak chorī kartī haiñ

    āñgan āñgan aag jalānā galī galī pahrā denā

    os meñ bhīge shahr se bāhar aate din se milnā hai

    sub.h-talak sansār rahe to ham ko jald jagā denā

    niim chhāñv meñ baiThne vaale sabhī ke sevak hote haiñ

    koī naag bhī aa nikle to us ko duudh pilā denā

    tere karam se yā-rab sab ko apnī apnī murād mile

    jis ne hamārā dil toḌā hai us ko bhī beTā denā

    aankhen jin ko dekh na paen sapnon mein bikhra dena

    jitne bhi hain rup tumhaare jite-ji dikhla dena

    raat aur din ke bich kahin par jage soe raston mein

    main tum se ek baat kahunga tum bhi kuchh farma dena

    ab ki rut mein jab dharti ko barkha ki mahkar mile

    mere badan ki miTTi ko bhi rangon mein nahla dena

    dil dariya hai dil sagar hai is dariya is sagar ki

    ek hi lahr ka aanchal thame sari umar bita dena

    hum bhi lai ko tez karenge bundon ki bauchhaar ke sath

    pahla sawan jhulne walo tum bhi peng baDha dena

    fasl tumhaari achchhi hogi jao hamare kahne se

    apne ganw ki har gori ko nai chunariya la dena

    ye mere paude ye mere panchhi ye mere pyare pyare log

    mere nam jo baadal aae basti mein barsa dena

    hijr ki aag mein ai ri hawao do jalte ghar agar kahin

    tanha tanha jalte hon to aag mein aag mila dena

    aaj dhanak mein rang na honge waise ji bahlane ko

    sham hue par nile pile kuchh balloon uDa dena

    aaj ki raat koi bairagan kisi se aansu badlegi

    bahte dariya uDte baadal jahan bhi hon Thahra dena

    jate sal ki aaKHiri shamen baalak chori karti hain

    aangan aangan aag jalana gali gali pahra dena

    os mein bhige shahr se bahar aate din se milna hai

    subh-talak sansar rahe to hum ko jald jaga dena

    nim ki chhanw mein baiThne wale sabhi ke sewak hote hain

    koi nag bhi aa nikle to us ko dudh pila dena

    tere karam se ya-rab sab ko apni apni murad mile

    jis ne hamara dil toDa hai us ko bhi beTa dena

    RECITATIONS

    Javed Saba

    Javed Saba,

    Javed Saba

    aa.nkhe.n jin ko dekh na paa.e.n sapno.n me.n bikhraa denaa Javed Saba

    Source :
    • Book : raat bahut havaa chalii (Pg. 26(pdf))
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now