Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya

Seemab Akbarabadi

aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya

Seemab Akbarabadi

aañkh se Tapkā jo aañsū vo sitārā ho gayā

merā dāman aaj dāmān-e-surayyā ho gayā

us ke meñ kyā ye aa.ī ye use kyā ho gayā

ḳhud chhupā aalam se aur ḳhud ālam-ārā ho gayā

banda-e-ma.anī kahāñ sūrat bandā ho gayā

sochtā huuñ mujh ko kyā honā thā maiñ kyā ho gayā

phir tasavvur ne baḌhā nāla-e-mauzūñ lai

phir savād-e-fikr se ik sher paidā ho gayā

ab kahāñ māyūsiyoñ meñ jhalkiyāñ ummīd

vo bhī kyā din the ki terā ġham gavārā ho gayā

jaan de maiñ ne tañg aa kar vufūr-e-dard se

aaj manshā-e-jafā-e-dost puurā ho gayā

barhaman kahtā thā barham shaiḳh bol uThā ahad

harf ke ik pher se donoñ meñ jhagḌā ho gayā

vahdat o kasrat ke jalve ḳhilqat-e-insāñ meñ dekh

ek zarra is qadar phailā ki duniyā ho gayā

barbariyat jahāñ meñ garm-bāzārī huī

ādmiyat ragoñ meñ ḳhuun ThanDā ho gayā

āshiyāñ banñe na paayā thā ki bijlī gir paḌī

baaġh abhī basne na paayā thā ki sahrā ho gayā

aa gayā sailāb bālīñ tak vufūr-e-girya se

rahm kar rab ki paanī sar se ūñchā ho gayā

ittifāq-e-vaqt thā apnā faroġh-e-āshiyāñ

jab koī jugnū chamak uTThā ujālā ho gayā

dil khiñchā jitnā qafas meñ āshiyāne taraf

duur itnā qafas se āshiyānā ho gayā

ham musāfir the hamārā mustaqar koī na thā

raat jab aa.ī jahāñ aa.ī baserā ho gayā

ho ga.e ruḳhsat 'ra.īs' o 'ālī' o 'vāsif' 'nisār'

rafta rafta āgara 'sīmāb' suunā ho gayā

aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya

mera daman aaj daman-e-surayya ho gaya

us ke ji mein kya ye aai ye use kya ho gaya

KHud chhupa aalam se aur KHud aalam-ara ho gaya

banda-e-mani kahan surat ka banda ho gaya

sochta hun mujh ko kya hona tha main kya ho gaya

phir tasawwur ne baDha di nala-e-mauzun ki lai

phir sawad-e-fikr se ek sher paida ho gaya

ab kahan mayusiyon mein jhalkiyan ummid ki

wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya

jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se

aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya

barhaman kahta tha barham shaiKH bol uTha ahad

harf ke ek pher se donon mein jhagDa ho gaya

wahdat o kasrat ke jalwe KHilqat-e-insan mein dekh

ek zarra is qadar phaila ki duniya ho gaya

barbariyat ki jahan mein garm-bazari hui

aadmiyat ki ragon mein KHun ThanDa ho gaya

aashiyan banne na paya tha ki bijli gir paDi

bagh abhi basne na paya tha ki sahra ho gaya

aa gaya sailab baalin tak wufur-e-girya se

rahm kar ya rab ki pani sar se uncha ho gaya

ittifaq-e-waqt tha apna farogh-e-ashiyan

jab koi jugnu chamak uTTha ujala ho gaya

dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf

dur itna hi qafas se aashiyana ho gaya

hum musafir the hamara mustaqar koi na tha

raat jab aai jahan aai basera ho gaya

ho gae ruKHsat 'rais' o 'ali' o 'wasif' 'nisar'

rafta rafta aagara 'simab' suna ho gaya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now