Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh mein tera aks tere hi ek KHayal se TuT gaya

Mukesh Aalam

aankh mein tera aks tere hi ek KHayal se TuT gaya

Mukesh Aalam

aañkh meñ terā aks tire ek ḳhayāl se TuuT gayā

jhiil chāñd to machhlī halkī chaal se TuuT gayā

chāhne vaalo pyaar meñ thoḌī āzādī bhī lāzim hai

dekho merā phuul ziyāda dekh-bhāl se TuuT gayā

mushkil daur meñ apnoñ par da.ave-dārī bhī kyā karte

patjhaḌ aa.ī to har pattā apnī Daal se TuuT gayā

kachche sapnoñ se achchhā hai pakkī nīndeñ so lenā

aise ḳhvāb ko kyā ronā jo palak ke baal se TuuT gayā

dil ke aage aql saarī chāleñ phīkī hotī haiñ

dekho raajā adnā se piyāde chaal se TuuT gayā

TuuT gayā yuuñ aañkh se aañsū hijr ke dhaḌke se 'ālam'

jaise ghuñgrū table pahlī taal se TuuT gayā

aankh mein tera aks tere hi ek KHayal se TuT gaya

jhil ka chand to machhli ki halki si chaal se TuT gaya

chahne walo pyar mein thoDi aazadi bhi lazim hai

dekho mera phul ziyaada dekh-bhaal se TuT gaya

mushkil daur mein apnon par dawe-dari bhi kya karte

patjhaD aai to har patta apni Dal se TuT gaya

kachche sapnon se achchha hai pakki ninden so lena

aise KHwab ko kya rona jo palak ke baal se TuT gaya

dil ke aage aql ki sari chaalen phiki hoti hain

dekho raja adna se piyaade ki chaal se TuT gaya

TuT gaya yun aankh se aansu hijr ke dhaDke se 'alam'

jaise ghungru table ki pahli hi tal se TuT gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now