Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aane wala hai koi mehman kya

Adil Hayat

aane wala hai koi mehman kya

Adil Hayat

aane vaalā hai koī mehmān kyā

ho ga.e sab marhale āsān kyā

vaqt raftār kaise tham ga.ī

ho gayā hai har-nafas be-jān kyā

TūTnā jaḌnā to hai ik silsila

ho rahe ho is qadar hairān kyā

zindagī se rishta apnā toḌ kar

rahe ho jab to ye sāmān kyā

dhuup ke saa.e meñ chup sādhe hue

kar rahe ho amn elaan kyā

ḳhvāhishoñ ke sab parinde uḌ ga.e

ho ga.ī hai zindagī vīrān kyā

sochtā rahtā huuñ 'ādil' rāt-din

maiñ kyā huuñ aur mirī pahchān kyā

aane wala hai koi mehman kya

ho gae sab marhale aasan kya

waqt ki raftar kaise tham gai

ho gaya hai har-nafas be-jaan kya

TuTna jaDna to hai ek silsila

ho rahe ho is qadar hairan kya

zindagi se rishta apna toD kar

ja rahe ho jab to ye saman kya

dhup ke sae mein chup sadhe hue

kar rahe ho amn ka elan kya

KHwahishon ke sab parinde uD gae

ho gai hai zindagi viran kya

sochta rahta hun 'adil' raat-din

main hi kya hun aur meri pahchan kya

Source :
  • Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 84)
  • Author : Adil Hayat
  • Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now