Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj jalti hui har shama bujha di jae

Ali Ahmad Jalili

aaj jalti hui har shama bujha di jae

Ali Ahmad Jalili

aaj jaltī huī har sham.a bujhā jaa.e

ġham tauqīr zarā aur baḌhā jaa.e

kyā isī vāste sīñchā thā lahū se apne

jab sañvar jaa.e chaman aag lagā jaa.e

aql hukm ki sāhil se lagā do kashtī

dil isrār ki tūfāñ se laḌā jaa.e

duur tak dil meñ dikhā.ī nahīñ detā koī

aise vīrāne meñ ab kis ko sadā jaa.e

tabsira ba.ad meñ bhī qatl pe ho saktā hai

pahle ye laash to raste se haTā jaa.e

maslahat ab to isī meñ nazar aatī hai 'alī'

ki hañsī aa.e to ashkoñ meñ bahā jaa.e

aaj jalti hui har shama bujha di jae

gham ki tauqir zara aur baDha di jae

kya isi waste sincha tha lahu se apne

jab sanwar jae chaman aag laga di jae

aql ka hukm ki sahil se laga do kashti

dil ka israr ki tufan se laDa di jae

dur tak dil mein dikhai nahin deta koi

aise virane mein ab kis ko sada di jae

tabsira baad mein bhi qatl pe ho sakta hai

pahle ye lash to raste se haTa di jae

maslahat ab to isi mein nazar aati hai 'ali'

ki hansi aae to ashkon mein baha di jae

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 240)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2010)
  • Edition : 2010
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now