Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha

Firaq Gorakhpuri

aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha

Firaq Gorakhpuri

aaj bhī qāfila-e-ishq ravāñ hai ki jo thā

vahī miil aur vahī sañg-e-nishāñ hai ki jo thā

phir tirā ġham vahī rusvā-e-jahāñ hai ki jo thā

phir fasāna ba-hadīs-e-digarāñ hai ki jo thā

manzileñ gard ke mānind uḌī jaatī haiñ

vahī andāz-e-jahān-e-guzarāñ hai ki jo thā

zulmat o nuur meñ kuchh bhī na mohabbat ko milā

aaj tak ek dhuñdalke samāñ hai ki jo thā

yuuñ to is daur meñ be-kaif hai bazm-e-hayāt

ek hangāma sar-e-ritl-e-girāñ hai ki jo thā

laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsān-o-karam

tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā

aaj phir ishq do-ālam se judā hotā hai

āstīnoñ meñ liye kaun-o-makāñ hai ki jo thā

ishq afsurda nahīñ aaj bhī afsurda bahut

vahī kam kam asr-e-soz-e-nihāñ hai ki jo thā

nazar aa jaate haiñ tum ko to bahut nāzuk baal

dil mirā kyā vahī ai shīsha-girāñ hai ki jo thā

jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhī

phir vahī marhala-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā

aaj bhī said-gah-e-ishq meñ husan-e-saffāk

liye abrū lachaktī kamāñ hai ki jo thā

phir tirī chashm-e-suḳhan-sanj ne chheḌī koī baat

vahī jaadū hai vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā

raat bhar husn par aa.e bhī ga.e sau sau rañg

shaam se ishq abhī tak nigarāñ hai ki jo thā

jo bhī kar jaur-o-sitam jo bhī kar ehsān-o-karam

tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā

aañkh jhapkī ki idhar ḳhatm huā roz-e-visāl

phir bhī is din pe qayāmat gumāñ hai ki jo thā

qurb kam hai na duurī ziyāda lekin

aaj vo rabt ehsās kahāñ hai ki jo thā

tīra-baḳhtī nahīñ jaatī dil-e-sozāñ 'firāq'

sham.a ke sar pe vahī aaj dhuāñ hai ki jo thā

aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha

wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha

phir tera gham wahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha

phir fasana ba-hadis-e-digaran hai ki jo tha

manzilen gard ke manind uDi jati hain

wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha

zulmat o nur mein kuchh bhi na mohabbat ko mila

aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha

yun to is daur mein be-kaif si hai bazm-e-hayat

ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha

lakh kar jaur-o-sitam lakh kar ehsan-o-karam

tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha

aaj phir ishq do-alam se juda hota hai

aastinon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha

ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut

wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha

nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal

dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha

jaan de baiThe the ek bar hawas wale bhi

phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha

aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak

liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha

phir teri chashm-e-suKHan-sanj ne chheDi koi baat

wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

raat bhar husn par aae bhi gae sau sau rang

sham se ishq abhi tak nigaran hai ki jo tha

jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsan-o-karam

tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha

aankh jhapki ki idhar KHatm hua roz-e-visal

phir bhi is din pe qayamat ka guman hai ki jo tha

qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin

aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha

tira-baKHti nahin jati dil-e-sozan ki 'firaq'

shama ke sar pe wahi aaj dhuan hai ki jo tha

RECITATIONS

Khalid Mubashshir

Khalid Mubashshir,

00:00/00:00
Khalid Mubashshir

aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha Khalid Mubashshir

Source :
  • Book : Gul-e-Naghma (Pg. 24)
  • Author :  Firaq Gorakhpuri
  • Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
  • Edition : 2006

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now