ai shab-e-dil-figar aahista
ai shab-e-dil-figār āhista
chheḌ is dil ke taar āhista
pahle pahle sukūn detā hai
'ishq kartā hai vaar āhista
tez nazroñ kā jaam hai lekin
chaḌh rahā hai ḳhumār āhista
mo'jize hoñge sabr ke badle
ai dil-e-be-qarār āhista
din kahīñ raat meñ na Dhal jaa.e
apnī zulfeñ sañvār āhista
shīsha-e-dil hai TūTne ke qarīb
sang-dil sang-bār āhista
zindagī naġhma-e-haqīqat hai
ai fasāna-nigār āhista
kāġhazī naav hai talātum meñ
paaoñ rakh nai-savār āhista
chashm-e-nam kā bharam rahe qaa.em
dīda-e-intizār āhista
ai shab-e-dil-figar aahista
chheD is dil ke tar aahista
pahle pahle sukun deta hai
'ishq karta hai war aahista
tez nazron ka jam hai lekin
chaDh raha hai KHumar aahista
mo'jize honge sabr ke badle
ai dil-e-be-qarar aahista
din kahin raat mein na Dhal jae
apni zulfen sanwar aahista
shisha-e-dil hai TuTne ke qarib
sang-dil sang-bar aahista
zindagi naghma-e-haqiqat hai
ai fasana-nigar aahista
kaghazi naw hai talatum mein
paon rakh nai-sawar aahista
chashm-e-nam ka bharam rahe qaem
dida-e-intizar aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.