Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla

Aziz Qaisi

aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla

Aziz Qaisi

aah be-asar niklī naala nā-rasā niklā

ik ḳhudā pe takiya thā vo bhī aap niklā

kaash vo marīz-e-ġham ye bhī dekhtā aalam

chāragar ye kyā guzrī dard jab davā niklā

ahl-e-ḳhair Duube the nekiyoñ mastī meñ

jo ḳharāb-e-sahbā thā bas vo pārsā niklā

ḳhizr jaan kar ham ne jis se raah pūchhī thī

aa ke biich jañgal meñ kyā batā.eñ kyā niklā

gir gayā añdhere meñ tere mehr sūraj

dard ke samundar se chāñd yaad niklā

ishq kyā havas kyā hai bandish-e-nafas kyā hai

sab samajh meñ aayā hai jo bevafā niklā

jis ne sadā tum ko sham.a ban ke zulmat meñ

rah-gazīdgāñ dekho kis naqsh-e-pā niklā

ik navā-e-rafta bāzgasht thī 'qaisī'

dil jise samajhte the dasht-e-be-sadā niklā

aah be-asar nikli nala na-rasa nikla

ek KHuda pe takiya tha wo bhi aap ka nikla

kash wo mariz-e-gham ye bhi dekhta aalam

chaaragar ye kya guzri dard jab dawa nikla

ahl-e-KHair Dube the nekiyon ki masti mein

jo KHarab-e-sahba tha bas wo parsa nikla

KHizr jaan kar hum ne jis se rah puchhi thi

aa ke bich jangal mein kya bataen kya nikla

gir gaya andhere mein tere mehr ka suraj

dard ke samundar se chand yaad ka nikla

ishq kya hawas kya hai bandish-e-nafas kya hai

sab samajh mein aaya hai tu jo bewafa nikla

jis ne di sada tum ko shama ban ke zulmat mein

rah-gazidgan dekho kis ka naqsh-e-pa nikla

ek nawa-e-rafta ki bazgasht thi 'qaisi'

dil jise samajhte the dasht-e-be-sada nikla

Source :
  • Book : Sher-o-Hikmat (Pg. 865)
  • Author : Shahryar, Mughni, Tabassum
  • Publication : Maktaba-e-Sher-O-Hikmat (2005)
  • Edition : 2005
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now