zamin khisakne lagi sar se sab falak to gae
zamīñ khisakne lagī sar se sab falak to ga.e
vidā' karne use saath duur tak to ga.e
javāb lab se mohabbat meñ kyā zarūrī hai
ki e'tirāf meñ kangan tire khanak to ga.e
vo mere haath se rākhī bañdhā ke lauT ga.ī
bhalā huā ye kisī ke shukūk-o-shak to ga.e
agar haiñ zinda to samjho tumhārī aas meñ haiñ
jo ittifāq se paa.ī kabhī jhalak to ga.e
maiñ chand roz meñ us par khulā to kyā hogā
banāvaToñ se mire 'aib aaj Dhak to ga.e
mashaqqatoñ kā hameñ kuchh sila milā hī nahīñ
agarche sāmne apne anaaj pak to ga.e
'rashīd' vaqt ne kis ġhaar meñ hai lā paTḳhā
karam ke abr khule ab khilī dhanak to ga.e
zamin khisakne lagi sar se sab falak to gae
wida' karne use sath dur tak to gae
jawab lab se mohabbat mein kya zaruri hai
ki e'tiraf mein kangan tere khanak to gae
wo mere hath se rakhi bandha ke lauT gai
bhala hua ye kisi ke shukuk-o-shak to gae
agar hain zinda to samjho tumhaari aas mein hain
jo ittifaq se pai kabhi jhalak to gae
main chand roz mein us par khula to kya hoga
banawaTon se mere 'aib aaj Dhak to gae
mashaqqaton ka hamein kuchh sila mila hi nahin
agarche samne apne anaj pak to gae
'rashid' waqt ne kis ghaar mein hai la paTKHa
karam ke abr khule ab khili dhanak to gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.