git
Interesting Fact
This Geet was used in film 'Padosan' (1968) and was composed by R.D. Barman.
mire sāmne vaalī khiḌkī meñ
ik chāñd kā TukḌā rahtā hai
afsos ye hai ki vo mujh se
kuchh ukhḌā ukhḌā rahtā hai
jis roz se dekhā hai us ko ham sham.a jalānā bhuul ga.e
dil thaam ke aise baiThe haiñ kahīñ aanā jaanā bhuul ga.e
ab aaTh pahar in āñkhoñ meñ
vo chanchal mukhḌā rahtā hai
mire sāmne vaalī khiḌkī meñ
ik chāñd kā TukḌā rahtā hai
barsāt bhī aa kar chalī ga.ī bādal bhī garaj kar baras ga.e
are us kī ek jhalak ko ai husn ke mālik taras ga.e
kab pyaas bujhegī āñkhoñ kī
din raat ye dhaḌkā rahtā hai
mere sāmne vaalī khiḌkī meñ....
mere samne wali khiDki mein
ek chand ka TukDa rahta hai
afsos ye hai ki wo mujh se
kuchh ukhDa ukhDa rahta hai
jis roz se dekha hai us ko hum shama jalana bhul gae
dil tham ke aise baiThe hain kahin aana jaana bhul gae
ab aaTh pahar in aankhon mein
wo chanchal mukhDa rahta hai
mere samne wali khiDki mein
ek chand ka TukDa rahta hai
barsat bhi aa kar chali gai baadal bhi garaj kar baras gae
are us ki ek jhalak ko ai husn ke malik taras gae
kab pyas bujhegi aankhon ki
din raat ye dhaDka rahta hai
mere samne wali khiDki mein
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 182)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.