ab wo karam karen ki sitam main nashe mein hun
ab vo karam kareñ ki sitam maiñ nashe meñ huuñ
mujh ko na koī hosh na ġham maiñ nashe meñ huuñ
siine se bojh un ke ġhamoñ kā utaar ke
aayā huuñ aaj apnī javānī ko haar ke
kahte haiñ Dagmagāte qadam maiñ nashe meñ huuñ
vo bevafā hai ab bhī ye dil māntā nahīñ
kambaḳht nā-samajh hai unheñ jāntā nahīñ
maiñ aaj toḌ dūñgā bharam maiñ nashe meñ huuñ
fursat nahīñ hai rone-rulāne ke vāste
aa.e na un kī yaad satāne ke vāste
is vaqt dil meñ dard hai kam maiñ nashe meñ huuñ
ab wo karam karen ki sitam main nashe mein hun
mujh ko na koi hosh na gham main nashe mein hun
sine se bojh un ke ghamon ka utar ke
aaya hun aaj apni jawani ko haar ke
kahte hain Dagmagate qadam main nashe mein hun
wo bewafa hai ab bhi ye dil manta nahin
kambaKHt na-samajh hai unhen jaanta nahin
main aaj toD dunga bharam main nashe mein hun
fursat nahin hai rone-rulane ke waste
aae na un ki yaad satane ke waste
is waqt dil mein dard hai kam main nashe mein hun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 445)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.