Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD

Mazhar Imam

zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    zindagī kāvish-e-bātil hai mirā saath na chhoḌ

    ik umr hāsil hai mirā saath na chhoḌ

    log milte haiñ sar-e-rāh guzar jaate haiñ

    ik ham-safar-e-dil hai mirā saath na chhoḌ

    ne sochā hai mujhe ne sañvārā hai mujhe

    mirā zehn mirā dil hai mirā saath na chhoḌ

    na hogā to kahāñ ke jalūñgā shab bhar

    tujh se garmi-e-mahfil hai mirā saath na chhoḌ

    maiñ ki biphre hue tūfāñ meñ huuñ lahroñ lahroñ

    ki āsūda-e-sāhil hai mirā saath na chhoḌ

    is rifāqat ko sipar apnī banā leñ leñ

    shahr shahr qātil hai mirā saath na chhoḌ

    ek maiñ ne ugaa.e nahīñ ḳhvāboñ ke gulāb

    bhī is jurm meñ shāmil hai mirā saath na chhoḌ

    ab kisī raah pe jalte nahīñ chāhat ke charāg

    mirī āḳhirī manzil hai mirā saath na chhoḌ

    zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD

    tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhoD

    log milte hain sar-e-rah guzar jate hain

    tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhoD

    tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe

    tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhoD

    tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar

    tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhoD

    main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron

    tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhoD

    is rifaqat ko sipar apni bana len ji len

    shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhoD

    ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab

    tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD

    ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag

    tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 74)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now