Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi guzri meri KHushk shajar ki surat

Aatish Bahawalpuri

zindagi guzri meri KHushk shajar ki surat

Aatish Bahawalpuri

zindagī guzrī mirī ḳhushk shajar sūrat

maiñ ne dekhī na kabhī barg-o-samar sūrat

ḳhuub bhar ke rulā.eñ jo nazar meñ un

qīmtī hoñ mire aañsū bhī guhar sūrat

apne chehre se jo zulfoñ ko haTāyā us ne

dekh shaam ne tābinda sahar sūrat

is na.e daur tahzīb se allāh bachā.e

masḳh hotī nazar aatī hai bashar sūrat

haram-o-dair se matlab na kalīsā se ġharaz

kaash ye bhī kahīñ hote tire ghar sūrat

nek a.amāl bhī auroñ ke nahīñ japte haiñ

aib apne nazar aate haiñ hunar sūrat

kyā koī us pe bhī uftād paḌī hai 'ātish'

abr barsā hai mire dīda-e-tar sūrat

zindagi guzri meri KHushk shajar ki surat

main ne dekhi na kabhi barg-o-samar ki surat

KHub ji bhar ke rulaen jo nazar mein un ki

qimti hon mere aansu bhi guhar ki surat

apne chehre se jo zulfon ko haTaya us ne

dekh li sham ne tabinda sahar ki surat

is nae daur ki tahzib se allah bachae

masKH hoti nazar aati hai bashar ki surat

haram-o-dair se matlab na kalisa se gharaz

kash ye bhi kahin hote tere ghar ki surat

nek aamal bhi auron ke nahin japte hain

aib apne nazar aate hain hunar ki surat

kya koi us pe bhi uftad paDi hai 'atish'

abr barsa hai mere dida-e-tar ki surat

Source :
  • Book : Jada-e-manzil (Pg. 27)
  • Author : Atish Bahawalpuri
  • Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
  • Edition : 2001
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now