Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

Rafi Raza

zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

Rafi Raza

zamīñ bojh aur us par ye āsmān bojh

utaar pheñk duuñ kāñdhoñ se do-jahān bojh

paḌā huā huuñ maiñ sajde meñ kah nahīñ paatā

vo baat jis se ki halkā ho kuchh zabān bojh

phir is ke baad uThā.ūñgā apne aap ko maiñ

uThā rahā huuñ abhī apne ḳhāndān bojh

dabī thī aañkh kabhī jis makān-e-hairat se

ab us makāñ se ziyāda hai lā-makān bojh

agar dimāġh sitāra hai TuuT jā.egā

chamak chamak ke uThātā hai āsmān bojh

to jhurriyoñ ne likhā aur kyā uThāoge

uThāyā jaatā nahīñ tum se jism o jaan bojh

palaT ke aa.ī jo ġhaflat ke us kurre se nigah

to silvaToñ meñ paḌā thā mirī thakān bojh

jo umr biit ga.ī us ko bhuul jā.ūñ 'razā'

pur-ḳhayāl se jhaTkūñ ga.ī uḌaan bojh

zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

utar phenk dun kandhon se do-jahan ka bojh

paDa hua hun main sajde mein kah nahin pata

wo baat jis se ki halka ho kuchh zaban ka bojh

phir is ke baad uThaunga apne aap ko main

uTha raha hun abhi apne KHandan ka bojh

dabi thi aankh kabhi jis makan-e-hairat se

ab us makan se ziyaada hai la-makan ka bojh

agar dimagh sitara hai TuT jaega

chamak chamak ke uThata hai aasman ka bojh

to jhurriyon ne likha aur kya uThaoge

uThaya jata nahin tum se jism o jaan ka bojh

palaT ke aai jo ghaflat ke us kurre se nigah

to silwaTon mein paDa tha meri thakan ka bojh

jo umr bit gai us ko bhul jaun 'raza'

pur-KHayal se jhaTkun gai uDan ka bojh

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now