Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

zabt koshish hai jān-e-nā-tavāñ mushkil meñ hai

kyuuñ ayaañ ho aañkh se vo ġham jo pinhāñ dil meñ hai

jis se chāho pūchh lo tum mere soz-e-dil haal

sham.a bhī mahfil meñ hai parvāna bhī mahfil meñ hai

ishq-e-ġhārat-gar ne shah husn-e-āfat-ḳhez ko

shauq-e-bismil se kas-bal bāzū-e-qātil meñ hai

kuchh samajh kar huā huuñ mauj-e-dariyā harīf

varna maiñ bhī jāntā huuñ āfiyat sāhil meñ hai

ḳhud tujhe aa jā.egā āshiq-navāzī ḳhayāl

terā rahrav kyuuñ ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil meñ hai

mudda.ā-e-ishq merā kuchh nahīñ juz zauq-e-ishq

husn ko hairat ki ye kis sa.ī-e-be-hāsil meñ hai

apnī shān-e-be-niyāzī par tumheñ kyā kyā haiñ naaz

kaash tum us shauq ko jaano jo mere dil meñ hai

zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai

kyun ayan ho aankh se wo gham jo pinhan dil mein hai

jis se chaho puchh lo tum mere soz-e-dil ka haal

shama bhi mahfil mein hai parwana bhi mahfil mein hai

ishq-e-ghaarat-gar ne shah di husn-e-afat-KHez ko

shauq-e-bismil hi se kas-bal bazu-e-qatil mein hai

kuchh samajh kar hi hua hun mauj-e-dariya ka harif

warna main bhi jaanta hun aafiyat sahil mein hai

KHud tujhe aa jaega aashiq-nawazi ka KHayal

tera rahraw kyun KHayal-e-duri-e-manzil mein hai

muddaa-e-ishq mera kuchh nahin juz zauq-e-ishq

husn ko hairat ki ye kis sai-e-be-hasil mein hai

apni shan-e-be-niyazi par tumhein kya kya hain naz

kash tum us shauq ko jaano jo mere dil mein hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now