Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt ki had se guzar kar Khaar to hona hi tha

Salim Shuja Ansari

zabt ki had se guzar kar Khaar to hona hi tha

Salim Shuja Ansari

MORE BYSalim Shuja Ansari

    zabt had se guzar kar ḳhaar to honā thā

    shiddat-e-ġham magar iz.hār to honā thā

    aa.ine kab tak salāmat rahte shahr-e-sañg meñ

    ek din patthar koī bedār to honā thā

    ḳhaak meñ milnā thā ik din ġhurūr-e-zindagī

    ret dīvār ko mismār to honā thā

    kis tarah karte nazar-andāz apne aap ko

    ik na ik din zindagī se pyaar to honā thā

    koī āmāda na thā rāheñ badalne ke liye

    rāsta millat phir dushvār to honā thā

    jis taraf dekhā udhar apne the ḳhanjar-ba-kaf

    phir mire īsār ko talvār to honā thā

    ḳhvāhisheñ be-rabt thiiñ be-zauq thā dast-e-talab

    aisī hājat sila inkār to honā thā

    ek din kahnā thā ik dūsre ko alvidā.a

    āḳhirash 'sālim' judā ik baar to honā thā

    zabt ki had se guzar kar KHar to hona hi tha

    shiddat-e-gham ka magar izhaar to hona hi tha

    aaine kab tak salamat rahte shahr-e-sang mein

    ek din patthar koi bedar to hona hi tha

    KHak mein milna hi tha ek din ghurur-e-zindagi

    ret ki diwar ko mismar to hona hi tha

    kis tarah karte nazar-andaz apne aap ko

    ek na ek din zindagi se pyar to hona hi tha

    koi aamada na tha rahen badalne ke liye

    rasta millat ka phir dushwar to hona hi tha

    jis taraf dekha udhar apne hi the KHanjar-ba-kaf

    phir mere isar ko talwar to hona hi tha

    KHwahishen be-rabt thin be-zauq tha dast-e-talab

    aisi hajat ka sila inkar to hona hi tha

    ek din kahna hi tha ek dusre ko alwidaa

    aaKHirash 'salim' juda ek bar to hona hi tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now