Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan

Khaqan Khavar

yun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan

Khaqan Khavar

MORE BYKhaqan Khavar

    yuuñ hirāsāñ haiñ musāfir bastiyoñ ke darmiyāñ

    ho ga.ī ho shaam jaise jañgaloñ ke darmiyāñ

    zindagī se ab yahī do-chār pal saath hai

    pāniyoñ se aa gayā huuñ daldaloñ ke darmiyāñ

    chaar jānib phailte rahe haiñ regzār

    tishnagī tishnagī hai ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ

    dekhte dekhte aapas meñ dushman ho ga.e

    ḳhuun dariyā ravāñ hai bhā.iyoñ ke darmiyāñ

    ab to is zad meñ hai saarā nagar aayā huā

    vo bhī din the sail thā jab sāhiloñ ke darmiyāñ

    adh-khulī āñkheñ haiñ 'ḳhāvar' aur sāñsoñ azaab

    laash sūrat paḌā huuñ kargasoñ ke darmiyāñ

    yun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan

    ho gai ho sham jaise jangalon ke darmiyan

    zindagi se ab yahi do-chaar pal ka sath hai

    paniyon se aa gaya hun daldalon ke darmiyan

    chaar jaanib phailte hi ja rahe hain regzar

    tishnagi hi tishnagi hai KHwahishon ke darmiyan

    dekhte hi dekhte aapas mein dushman ho gae

    KHun ka dariya rawan hai bhaiyon ke darmiyan

    ab to is ki zad mein hai sara nagar aaya hua

    wo bhi din the sail tha jab sahilon ke darmiyan

    adh-khuli aankhen hain 'KHawar' aur sanson ka azab

    lash ki surat paDa hun kargason ke darmiyan

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 447)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now