Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai

Zulfeqar Ahmad Tabish

ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai

Zulfeqar Ahmad Tabish

ye shor-o-shar to pahle din se ādam-zād meñ hai

ḳharābī kuchh na kuchh to is ḳhaak o baad meñ hai

pahuñch kar us jagah ik chup lag jaatī hai mujh ko

maqām ik is tarah bhī mirī rūdād meñ hai

ajab ik be-kalī mere jism-o-jān meñ hai

sifat sīmāb mujh paikar-e-azdād meñ hai

ye shīsha-ghar abhī tak arsa-e-takmīl meñ hai

ye ḳhvāb-e-ḳhūbsūrat mo.ariz-e-ījād meñ hai

maiñ jitnā uTh rahā huuñ aur jhuktā rahā huuñ

kajī dar-asl avval se mirī buniyād meñ hai

zamāna yuuñ nahīñ jaise dikhā.ī de rahā hai

ḳharābī koī māh-o-sāl ta.adād meñ hai

tarīq-e-ishq meñ koī ḳharābī aa ga.ī hai

koī bad-sūratī is tarz-e-nau-ījād meñ hai

ye naqsh-e-ḳhushnumā dar-asl naqsh-e-ājizī hai

ki asl-e-husn to andesha-e-bahzād meñ hai

yahāñ jo aa gayā ik baar phir jaatā nahīñ hai

kashish aisī kuchh is shahr-e-sitam-ījād meñ hai

vo jo kahte rahe us gavāhī mil rahī hai

ye saarī guftugū un raftagāñ yaad meñ hai

ye jitnā hai kahīñ us se ziyāda bhed meñ hai

tilism is dahr poshīda haft-ib.ād meñ hai

ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai

KHarabi kuchh na kuchh to is ki KHak o baad mein hai

pahunch kar us jagah ek chup si lag jati hai mujh ko

maqam ek is tarah ka bhi meri rudad mein hai

ajab ek be-kali si mere jism-o-jaan mein hai

sifat simab ki mujh paikar-e-azdad mein hai

ye shisha-ghar abhi tak arsa-e-takmil mein hai

ye KHwab-e-KHubsurat moariz-e-ijad mein hai

main jitna uTh raha hun aur jhukta ja raha hun

kaji dar-asl awwal se meri buniyaad mein hai

zamana yun nahin jaise dikhai de raha hai

KHarabi koi mah-o-sal ki tadad mein hai

tariq-e-ishq mein koi KHarabi aa gai hai

koi bad-surati is tarz-e-nau-ijad mein hai

ye naqsh-e-KHushnuma dar-asl naqsh-e-ajizi hai

ki asl-e-husn to andesha-e-bahzad mein hai

yahan jo aa gaya ek bar phir jata nahin hai

kashish aisi kuchh is shahr-e-sitam-ijad mein hai

wo jo kahte rahe us ki gawahi mil rahi hai

ye sari guftugu un raftagan ki yaad mein hai

ye jitna hai kahin us se ziyaada bhed mein hai

tilism is dahr ka poshida haft-ibaad mein hai

Source :
  • Book : Pakistani Adab (Pg. 463)
  • Author : Dr. Rashid Amjad
  • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now