Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai

Goya Faqir Mohammad

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai

Goya Faqir Mohammad

ye ik terā jalva sanam chaar hai

nazar jis taraf kījiye hai

ye kis mast ke aane aarzū hai

ki dast-e-duā aaj dast-e-subū hai

na hogā koī mujh mahv-e-tasavvur

jise dekhtā huuñ samajhtā huuñ hai

mukaddar na ho yaar to saaf kah duuñ

na kyūñkar ho ḳhud-bīñ ki ā.īna-rū hai

kabhī ruḳh bāteñ kabhī gesuoñ

sahar se yahī shaam tak guftugū hai

kisī gul ke kūche se guzrī hai shāyad

sabā aaj jo tujh meñ phūloñ hai

nahīñ chāk-dāman koī mujh 'goyā'

na baḳhiya ḳhvāhish na fikr-e-rafū hai

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai

nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai

ye kis mast ke aane ki aarzu hai

ki dast-e-dua aaj dast-e-subu hai

na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur

jise dekhta hun samajhta hun tu hai

mukaddar na ho yar to saf kah dun

na kyunkar ho KHud-bin ki aaina-ru hai

kabhi ruKH ki baaten kabhi gesuon ki

sahar se yahi sham tak guftugu hai

kisi gul ke kuche se guzri hai shayad

saba aaj jo tujh mein phulon ki bu hai

nahin chaak-daman koi mujh sa 'goya'

na baKHiya ki KHwahish na fikr-e-rafu hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now