Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad karna har ghaDi us yar ka

Wali Mohammad Wali

yaad karna har ghaDi us yar ka

Wali Mohammad Wali

yaad karnā har ghaḌī us yaar

hai vazīfa mujh dil-e-bīmār

ārzū-e-chashma-e-kausar na.iiñ

tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār

āqibat kyā hovegā ma.alūm na.iiñ

dil huā hai mubtalā dildār

kyā kahe tārīf dil hai be-nazīr

harf harf us maḳhzan-e-asrār

gar huā hai tālib-e-āzādgī

band mat ho sub.ha o zunnār

masnad-e-gul manzil-e-shabnam huī

dekh rutba dīda-e-bedār

ai 'valī' honā sirījan par nisār

mudda.ā hai chashm-e-gauhar-bār

yaad karna har ghaDi us yar ka

hai wazifa mujh dil-e-bimar ka

aarzu-e-chashma-e-kausar nain

tishna-lab hun sharbat-e-didar ka

aaqibat kya howega malum nain

dil hua hai mubtala dildar ka

kya kahe tarif dil hai be-nazir

harf harf us maKHzan-e-asrar ka

gar hua hai talib-e-azadgi

band mat ho subha o zunnar ka

masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui

dekh rutba dida-e-bedar ka

ai 'wali' hona sirijan par nisar

muddaa hai chashm-e-gauhar-bar ka

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

yaad karna har ghaDi us yar ka Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now