Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya to suraj jhuT hai ya phir ye saya jhuT hai

Akhtar Shumar

ya to suraj jhuT hai ya phir ye saya jhuT hai

Akhtar Shumar

to sūraj jhuuT hai phir ye saayā jhuuT hai

aañkh to is par bhī hairāñ hai ki kyā kyā jhuuT hai

muddatoñ meñ aaj dil ne faisla āḳhir diyā

ḳhūb-sūrat sahī lekin ye duniyā jhuuT hai

ḳhuun meñ shāmil achhūtī ḳhushbuoñ ke saath saath

kyuuñ kahūñ mujh meñ jo bahtā hai vo dariyā jhuuT hai

zindagī ke baare itnā kahā sach jāniye

dasht meñ bhaTkā huā jaise bagūlā jhuuT hai

ya to suraj jhuT hai ya phir ye saya jhuT hai

aankh to is par bhi hairan hai ki kya kya jhuT hai

muddaton mein aaj dil ne faisla aaKHir diya

KHub-surat hi sahi lekin ye duniya jhuT hai

KHun mein shamil achhuti KHushbuon ke sath sath

kyun kahun mujh mein jo bahta hai wo dariya jhuT hai

zindagi ke bare itna hi kaha sach jaaniye

dasht mein bhaTka hua jaise bagula jhuT hai

Source :
  • Book : hamen terii tamnnaa hai (Pg. 111)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now