Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

Javed Vashisht

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

Javed Vashisht

vo jo dāġh-e-ishq thā ḳhush-numā jo amānat-e-dil-e-zār thā

sar-e-bazm thā to charāġh thā sar-e-rāh thā to ġhubār thā

use maiñ jānūñ huuñ dostoñ kisū vaqt apnā bhī yaar thā

kabhū mom thā kabhū sañg thā kabhū phuul thā kabhū ḳhaar thā

tirī yaad hai ki bujhī bujhī tirā zikr hai ki rukā rukā

tirī yaad se to sukūn thā tire zikr se to qarār thā

ye to vaqt vaqt baat hai hameñ un se koī gila nahīñ

vo hoñ aaj ham se ḳhafā ḳhafā kabhū ham se un ko bhī pyaar thā

vo nagar to kab ujaḌ gayā ham usī nagar se to aa.e haiñ

kahīñ maqbara thā ḳhulūs to kahīñ vafā mazār thā

jise shauq thā tirī diid jise pyaas thī tire pyaar

jo tirī galī meñ muqīm thā vahī ajnabī sar-e-dār thā

tire dil se merā ḳhulūs-e-dil na jhalak sakā to maiñ kyā karūñ

mire aks to ḳhatā na thī tire ā.īne pe ġhubār thā

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

sar-e-bazm tha to charagh tha sar-e-rah tha to ghubar tha

use main hi jaanun hun doston kisu waqt apna bhi yar tha

kabhu mom tha kabhu sang tha kabhu phul tha kabhu KHar tha

teri yaad hai ki bujhi bujhi tera zikr hai ki ruka ruka

teri yaad se to sukun tha tere zikr se to qarar tha

ye to waqt waqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin

wo hon aaj hum se KHafa KHafa kabhu hum se un ko bhi pyar tha

wo nagar to kab ka ujaD gaya hum usi nagar se to aae hain

kahin maqbara tha KHulus ka to kahin wafa ka mazar tha

jise shauq tha teri did ka jise pyas thi tere pyar ki

jo teri gali mein muqim tha wahi ajnabi sar-e-dar tha

tere dil se mera KHulus-e-dil na jhalak saka to main kya karun

mere aks ki to KHata na thi tere aaine pe ghubar tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now