Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo gungunate raste KHwabon ke kya hue

Sheen Kaaf Nizam

wo gungunate raste KHwabon ke kya hue

Sheen Kaaf Nizam

vo gungunāte rāste ḳhvāboñ ke kyā hue

vīrāna kyuuñ haiñ bastiyāñ bāshinde kyā hue

vo jāgtī jabīneñ kahāñ ke so ga.iiñ

vo bolte badan jo simaTte the kyā hue

jin se añdherī rātoñ meñ jal jaate the diye

kitne hasīn log the kyā jaane kyā hue

ḳhāmosh kyuuñ ho koī to bolo javāb do

bastī meñ chaar chāñd se chehre the kyā hue

ham se vo rat-jagoñ adā kaun le gayā

kyuuñ vo alaav bujh ga.e vo qisse kyā hue

mumkin hai kaT ga.e hoñ vo mausam dhaar se

un par phudakte shoḳh parinde the kyā hue

kis ne miTā diye haiñ fasīloñ ke fāsle

vābasta jo the ham se vo afsāne kyā hue

khamboñ pe ke kis ne sitāre Tikā diye

dālān pūchhte haiñ ki dīvāne kyā hue

ūñchī imārateñ to baḌī shāndār haiñ

lekin yahāñ to ren-basere the kyā hue

wo gungunate raste KHwabon ke kya hue

virana kyun hain bastiyan bashinde kya hue

wo jagti jabinen kahan ja ke so gain

wo bolte badan jo simaTte the kya hue

jin se andheri raaton mein jal jate the diye

kitne hasin log the kya jaane kya hue

KHamosh kyun ho koi to bolo jawab do

basti mein chaar chand se chehre the kya hue

hum se wo rat-jagon ki ada kaun le gaya

kyun wo alaw bujh gae wo qisse kya hue

mumkin hai kaT gae hon wo mausam ki dhaar se

un par phudakte shoKH parinde the kya hue

kis ne miTa diye hain fasilon ke fasle

wabasta jo the hum se wo afsane kya hue

khambon pe la ke kis ne sitare Tika diye

dalan puchhte hain ki diwane kya hue

unchi imaraten to baDi shandar hain

lekin yahan to ren-basere the kya hue

Source :
  • Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 13)
  • Author : Sheen Kaaf Nizam
  • Publication : Vagdevi Publication (2010)
  • Edition : 2010
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now