Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun

Ata ul Haq Qasmi

wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun

Ata ul Haq Qasmi

vo gard hai ki vaqt se ojhal to maiñ bhī huuñ

phir bhī ġhubār jaisā koī pal to maiñ bhī huuñ

ḳhvāhish vahshatoñ ye jañgal hai pur-ḳhatar

mujh se bhī ehtiyāt ki jañgal to maiñ bhī huuñ

lagtā nahīñ ki us se marāsim bahāl hoñ

maiñ kyā karūñ ki thoḌā pāgal to maiñ bhī huuñ

vo mere dil ke goshe meñ maujūd hai kahīñ

aur us ke dil meñ thoḌī halchal to maiñ bhī huuñ

nikle ho qatra qatra mohabbat talāshne

dekho idhar ki pyaar chhāgal to maiñ bhī huuñ

kaise ise nikālūñ maiñ zindān-e-zāt se

zindān-e-zāt meñ muqaffal to maiñ bhī huuñ

maazī ke aa.ine meñ 'atā' koī ḳhush-adā

shikva-kunāñ thā kahtā thā sāñval to maiñ bhī huuñ

wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun

phir bhi ghubar jaisa koi pal to main bhi hun

KHwahish ki wahshaton ka ye jangal hai pur-KHatar

mujh se bhi ehtiyat ki jangal to main bhi hun

lagta nahin ki us se marasim bahaal hon

main kya karun ki thoDa sa pagal to main bhi hun

wo mere dil ke goshe mein maujud hai kahin

aur us ke dil mein thoDi si halchal to main bhi hun

nikle ho qatra qatra mohabbat talashne

dekho idhar ki pyar ki chhagal to main bhi hun

kaise ise nikalun main zindan-e-zat se

zindan-e-zat hi mein muqaffal to main bhi hun

mazi ke aaine mein 'ata' koi KHush-ada

shikwa-kunan tha kahta tha sanwal to main bhi hun

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.09.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now