Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasl ka mausam ho to ye sardiyan hi Thik hain

A.R Sahil 'Aleeg'

wasl ka mausam ho to ye sardiyan hi Thik hain

A.R Sahil 'Aleeg'

vasl mausam ho to ye sardiyāñ Thiik haiñ

hijr meñ qurbat ye parchhā.iyāñ Thiik haiñ

kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā

is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ Thiik haiñ

ishq se bezār dil ye chīḳh kar kahne lagā

ishq chhoḌo āshiqoñ tanhā.iyāñ Thiik haiñ

is qadar ham ho chuke rusvā vafā ke naam par

ab sharāfat chhoḌ bad-nāmiyāñ Thiik haiñ

aap ne chāhā judā.ī so alag ham ho ga.e

kyā kaheñ ab aap ye marziyāñ Thiik haiñ

ho na paa.e jab mukammal ishq qissa to phir

shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ Thiik haiñ

is se pahle ham judā hoñ kuchh bharam baaqī rahe

darmiyāñ ab talḳh ye dūriyāñ Thiik haiñ

bujh chukā jo kyoñ vo sulgā.ūñ mohabbat alaav

ab talak jhelī jafā saḳhtiyāñ Thiik haiñ

hai fasāna ishq Duubā hai sāhil ashk meñ

mere mazmūñ ye unvāñ talḳhiyāñ Thiik haiñ

wasl ka mausam ho to ye sardiyan hi Thik hain

hijr mein qurbat ki ye parchhaiyan hi Thik hain

kya bataun main ki tum ne kis ko saunpi hai haya

is liye socha meri KHamoshiyan hi Thik hain

ishq se bezar dil ye chiKH kar kahne laga

ishq chhoDo aashiqon tanhaiyan hi Thik hain

is qadar hum ho chuke ruswa wafa ke nam par

ab sharafat chhoD di bad-namiyan hi Thik hain

aap ne chaha judai so alag hum ho gae

kya kahen ab aap ki ye marziyan hi Thik hain

ho na pae jab mukammal ishq ka qissa to phir

shohraten rahne do ab gum-namiyan hi Thik hain

is se pahle hum juda hon kuchh bharam baqi rahe

darmiyan ab talKH si ye duriyan hi Thik hain

bujh chuka jo kyon wo sulgaun mohabbat ka alaw

ab talak jheli jafa ki saKHtiyan hi Thik hain

hai fasana ishq ka Duba hai sahil ashk mein

mere mazmun ka ye unwan talKHiyan hi Thik hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now