Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi jo rah ka patthar tha be-tarash bhi tha

Tanveer Ahmad Alvi

wahi jo rah ka patthar tha be-tarash bhi tha

Tanveer Ahmad Alvi

vahī jo raah patthar thā be-tarāsh bhī thā

vo ḳhasta-jāñ kabhī ā.īna-qimāsh bhī thā

lahū ke phuul rag-e-jāñ meñ jis se khilte the

vahī to shīsha-e-dil thā ki paash paash bhī thā

bikhar ga.ī haiñ jahāñ TuuT kar ye chaTTāneñ

yahīñ to phuul koī sāhib-e-farāsh bhī thā

uThā.e phirtā thā jis ko salīb sūrat

vahī vajūd to ḳhud us zinda laash bhī thā

palak jhapakne meñ kuchh ḳhvāb TuuT jaate haiñ

jo but-shikan hai vahī lamha but-tarāsh bhī thā

vo harf-e-nāz ki resham taar kahiye jise

vahī to dil ke liye ik hasīñ ḳharāsh bhī thā

adā-e-husn jise kahiye be-ruḳhī 'tanvīr'

usī tarz-e-taġhāful raaz faash bhī thā

wahi jo rah ka patthar tha be-tarash bhi tha

wo KHasta-jaan hi kabhi aaina-qimash bhi tha

lahu ke phul rag-e-jaan mein jis se khilte the

wahi to shisha-e-dil tha ki pash pash bhi tha

bikhar gai hain jahan TuT kar ye chaTTanen

yahin to phul koi sahib-e-farash bhi tha

uThae phirta tha jis ko salib ki surat

wahi wajud to KHud us ki zinda lash bhi tha

palak jhapakne mein kuchh KHwab TuT jate hain

jo but-shikan hai wahi lamha but-tarash bhi tha

wo harf-e-naz ki resham ka tar kahiye jise

wahi to dil ke liye ek hasin KHarash bhi tha

ada-e-husn jise kahiye be-ruKHi 'tanwir'

usi ki tarz-e-taghaful ka raaz fash bhi tha

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 184)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now