uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye
uTho ye manzar-e-shab-tāb dekhne ke liye
ki niiñd shart nahīñ ḳhvāb dekhne ke liye
ajab harīf thā mere hī saath Duub gayā
mire safīne ko ġharqāb dekhne ke liye
vo marhala hai ki ab sail-e-ḳhūñ pe raazī haiñ
ham is zamīn ko shādāb dekhne ke liye
jo ho sake to zarā shah-savār lauT ke aa.eñ
piyād-gāñ ko zafar-yāb dekhne ke liye
kahāñ hai tū ki yahāñ jal rahe haiñ sadiyoñ se
charāġh diida o mehrāb dekhne ke liye
uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye
ki nind shart nahin KHwab dekhne ke liye
ajab harif tha mere hi sath Dub gaya
mere safine ko gharqab dekhne ke liye
wo marhala hai ki ab sail-e-KHun pe raazi hain
hum is zamin ko shadab dekhne ke liye
jo ho sake to zara shah-sawar lauT ke aaen
piyaad-gan ko zafar-yab dekhne ke liye
kahan hai tu ki yahan jal rahe hain sadiyon se
charagh dida o mehrab dekhne ke liye
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 56)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.