Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us par banti miTti dhanak uske nam ki

Mohammad Ahmad Ramz

us par banti miTti dhanak uske nam ki

Mohammad Ahmad Ramz

us paar bantī miTtī dhanak us ke naam

is paar maiñ huuñ aur siyāhī hai shaam

kin kin bulandiyoñ se ulajhtā rahā hai zehn

ye āsmāñ jhalak bhī nahīñ us ke baam

alfāz giraft se hai māvarā hanūz

ik baat kah gayā vo magar kitne kaam

ejaaz de rahā huuñ ab apne hunar ko maiñ

shamshīr ke liye hai zarūrat niyām

ik raushnī mujh pe utartī hai gaah gaah

buniyād us ne Daalī payām-o-salām

ḳhushbū koī rañg na paikar na pairahan

tasvīr hai magar tire tarz-e-ḳhirām

bolo ki tum bhī rakhte ho ik sarguzisht 'ramz'

sambhlo ki us ne apnī kahānī tamām

us par banti miTti dhanak us ke nam ki

is par main hun aur siyahi hai sham ki

kin kin bulandiyon se ulajhta raha hai zehn

ye aasman jhalak bhi nahin us ke baam ki

alfaz ki giraft se hai mawara hanuz

ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki

ejaz de raha hun ab apne hunar ko main

shamshir ke liye hai zarurat niyam ki

ek raushni si mujh pe utarti hai gah gah

buniyaad us ne Dali payam-o-salam ki

KHushbu ka koi rang na paikar na pairahan

taswir hai magar tere tarz-e-KHiram ki

bolo ki tum bhi rakhte ho ek sarguzisht 'ramz'

sambhlo ki us ne apni kahani tamam ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now