Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae

Nushur Wahidi

us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae

Nushur Wahidi

us dil musībat kaun sune jo ġham ke muqābil aa jaa.e

kis ne ye kahā thā tinke se vo bijlī se Takrā jaa.e

duniyā bahāroñ se āñkheñ yuuñ pher liiñ jaane vāloñ ne

jaise koī lambe qisse ko paḌhte paḌhte uktā jaa.e

āġhāz-e-mohabbat hai aur dil yuuñ haath se niklā jaatā hai

jaise kisī alhaḌ āñchal sarkā jaa.e Dhalkā jaa.e

guzre hue dilkash lamhoñ bhūlī huī yaad aisī aa.ī

jaise koī pītam pardesī sote meñ achānak aa jaa.e

jab pahle-pahal ehsās huā hai ġham to dil aisā kāñpā

jaise ki dulhan pahlī shab aahaT jo mile tharrā jaa.e

kan.ghe se ghanerī zulfoñ meñ yuuñ lahreñ uThtī jaatī haiñ

jaise ki dhuñdlakā sāvan baḌhtā jaa.e baḌhtā jaa.e

hastī nazāra kyā kahiye martā hai koī jiitā hai koī

jaise ki divālī ho ki diyā jaltā jaa.e bujhtā jaa.e

ik aas jo dil TuuT ga.ī phir dil ḳhushī baaqī na rahī

jaise ki añdhere ghar diyā gul ho to añdherā chhā jaa.e

dil hai ki 'nushūr' ik baajā hai siine ke andar tāroñ

jab choT paḌe jhankār uThe jab Thes lage tharrā jaa.e

us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae

kis ne ye kaha tha tinke se wo bijli se Takra jae

duniya ki bahaaron se aankhen yun pher lin jaane walon ne

jaise koi lambe qisse ko paDhte paDhte ukta jae

aaghaz-e-mohabbat hai aur dil yun hath se nikla jata hai

jaise kisi alhaD ka aanchal sarka jae Dhalka jae

guzre hue dilkash lamhon ki bhuli hui yaad aisi aai

jaise koi pitam pardesi sote mein achanak aa jae

jab pahle-pahal ehsas hua hai gham ka to dil aisa kanpa

jaise ki dulhan pahli shab ki aahaT jo mile tharra jae

kanghe se ghaneri zulfon mein yun lahren uThti jati hain

jaise ki dhundlaka sawan ka baDhta jae baDhta jae

hasti ka nazara kya kahiye marta hai koi jita hai koi

jaise ki diwali ho ki diya jalta jae bujhta jae

ek aas jo dil ki TuT gai phir dil ki KHushi baqi na rahi

jaise ki andhere ghar ka diya gul ho to andhera chha jae

dil hai ki 'nushur' ek baja hai sine ke andar taron ka

jab choT paDe jhankar uThe jab Thes lage tharra jae

Source :
  • Book : Sawad-e-manzil (Pg. 123)
  • Author : Nushoor Wahedi
  • Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now