Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah

Kamal Ahmad Siddiqi

uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah

Kamal Ahmad Siddiqi

'urūj auroñ ko kuchh din hai ahrman tarah

faroġh kis ko hai rindoñ ke bāñkpan tarah

mirā ḳhayāl nahīñ hai to aur kyā hogā

guzar gayā tire māthe se jo shikan tarah

ye sar-zamīn-e-gul-o-lāla so bhī jaatī hai

libāda barf oḌhe hue kafan tarah

kabhī to guzrūñgā is rahguzār se ho kar

ḳhud apnī taak meñ baiThā huuñ rāhzan tarah

ḳhizāñ ḳhauf mujhe khaa.e rahā hai 'kamāl'

chinār surḳh na hoñ ātish-e-suḳhan tarah

'uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah

farogh kis ko hai rindon ke bankpan ki tarah

mera KHayal nahin hai to aur kya hoga

guzar gaya tere mathe se jo shikan ki tarah

ye sar-zamin-e-gul-o-lala so bhi jati hai

libaada barf ka oDhe hue kafan ki tarah

kabhi to guzrunga is rahguzar se ho kar

KHud apni tak mein baiTha hun rahzan ki tarah

KHizan ka KHauf mujhe khae ja raha hai 'kamal'

chinar surKH na hon aatish-e-suKHan ki tarah

Source :
  • Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 298)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now