aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasi ka samundar dekh lena

Kafeel Aazar Amrohvi

udasi ka samundar dekh lena

Kafeel Aazar Amrohvi

MORE BYKafeel Aazar Amrohvi

    udāsī samundar dekh lenā

    mirī āñkhoñ meñ aa kar dekh lenā

    hamāre hijr tamhīd kyā thī

    mirī yādoñ daftar dekh lenā

    tasavvur ke laboñ se chuum lūñgā

    tirī yādoñ ke patthar dekh lenā

    nujūmī ne ye hai pesh-goī

    rulā.egā muqaddar dekh lenā

    na rakhnā vāsta tum mujh se lekin

    mirī hijrat manzar dekh lenā

    tamannā hai agar milne mujh se

    mujhe mere andar dekh lenā

    makāñ shīshe banvāte ho 'āzar'

    bahut ā.eñge patthar dekh lenā

    udasi ka samundar dekh lena

    meri aankhon mein aa kar dekh lena

    hamare hijr ki tamhid kya thi

    meri yaadon ka daftar dekh lena

    tasawwur ke labon se chum lunga

    teri yaadon ke patthar dekh lena

    nujumi ne ye ki hai pesh-goi

    rulaega muqaddar dekh lena

    na rakhna wasta tum mujh se lekin

    meri hijrat ka manzar dekh lena

    tamanna hai agar milne ki mujh se

    mujhe mere hi andar dekh lena

    makan shishe ka banwate ho 'azar'

    bahut aaenge patthar dekh lena

    Source:

    Dhoop Ka Dareecha (Pg. 63)

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now