Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein

Wasi Shah

udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein

Wasi Shah

MORE BYWasi Shah

    udaas rātoñ meñ tez coffē talḳhiyoñ meñ

    vo kuchh ziyāda yaad aatā hai sardiyoñ meñ

    mujhe ijāzat nahīñ hai us ko pukārne

    jo gūñjtā hai lahū meñ siine dhaḌkanoñ meñ

    vo bachpanā jo udaas rāhoñ meñ kho gayā thā

    maiñ DhūñDtā huuñ use tumhārī sharāratoñ meñ

    use dilāse to de rahā huuñ magar ye sach hai

    kahīñ koī ḳhauf baḌh rahā hai tasalliyoñ meñ

    tum apnī poroñ se jaane kyā likh ga.e the jānāñ

    charāġh raushan haiñ ab bhī merī hatheliyoñ meñ

    jo nahīñ hai to ye mukammal na ho sakeñgī

    tirī yahī ahmiyat hai merī kahāniyoñ meñ

    mujhe yaqīñ hai vo thaam legā bharam rakhegā

    ye maan hai to diye jalā.e haiñ āñdhiyoñ meñ

    har ek mausam meñ raushnī bikherte haiñ

    tumhāre ġham ke charāġh merī udāsiyoñ meñ

    udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein

    wo kuchh ziyaada hi yaad aata hai sardiyon mein

    mujhe ijazat nahin hai us ko pukarne ki

    jo gunjta hai lahu mein sine ki dhaDkanon mein

    wo bachpana jo udas rahon mein kho gaya tha

    main DhunDta hun use tumhaari shararaton mein

    use dilase to de raha hun magar ye sach hai

    kahin koi KHauf baDh raha hai tasalliyon mein

    tum apni poron se jaane kya likh gae the jaanan

    charagh raushan hain ab bhi meri hatheliyon mein

    jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakengi

    teri yahi ahmiyat hai meri kahaniyon mein

    mujhe yaqin hai wo tham lega bharam rakhega

    ye man hai to diye jalae hain aandhiyon mein

    har ek mausam mein raushni si bikherte hain

    tumhaare gham ke charagh meri udasiyon mein

    RECITATIONS

    Wasi Shah

    Wasi Shah,

    Wasi Shah

    udaas raton mein tez coffee ki talkhyun mein Wasi Shah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now