Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumne sach bolne ki jurat ki

Saleem Kausar

tumne sach bolne ki jurat ki

Saleem Kausar

tum ne sach bolne jur.at

ye bhī tauhīn hai adālat

manzileñ rāstoñ dhuul huiiñ

pūchhte kyā ho tum masāfat

apnā zād-e-safar bhī chhoḌ ga.e

jaane vāloñ ne kitnī ujlat

maiñ jahāñ qatl ho rahā huuñ vahāñ

mere ajdād ne hukūmat

pahle mujh se judā huā aur phir

aks ne ā.īne se hijrat

merī āñkhoñ pe us ne haath rakhā

aur ik ḳhvāb mahūrat

itnā mushkil nahīñ tujhe paanā

ik ghaḌī chāhiye hai fursat

ham ne to ḳhud se intiqām liyā

tum ne kyā soch kar mohabbat

kaun kis ke liye tabāh huā

kyā zarūrat hai is vazāhat

ishq jis se na ho sakā us ne

shā.erī meñ ajab siyāsat

yaad aa.ī to hai shanāḳht magar

intihā ho ga.ī hai ġhaflat

ham vahāñ pahle rah chuke haiñ 'salīm'

tum ne jis dil meñ ab sukūnat

tum ne sach bolne ki jurat ki

ye bhi tauhin hai adalat ki

manzilen raston ki dhul huin

puchhte kya ho tum masafat ki

apna zad-e-safar bhi chhoD gae

jaane walon ne kitni ujlat ki

main jahan qatl ho raha hun wahan

mere ajdad ne hukumat ki

pahle mujh se juda hua aur phir

aks ne aaine se hijrat ki

meri aankhon pe us ne hath rakha

aur ek KHwab ki mahurat ki

itna mushkil nahin tujhe pana

ek ghaDi chahiye hai fursat ki

hum ne to KHud se intiqam liya

tum ne kya soch kar mohabbat ki

kaun kis ke liye tabah hua

kya zarurat hai is wazahat ki

ishq jis se na ho saka us ne

shaeri mein ajab siyasat ki

yaad aai to hai shanaKHt magar

intiha ho gai hai ghaflat ki

hum wahan pahle rah chuke hain 'salim'

tum ne jis dil mein ab sukunat ki

Source :
  • Book : Zara Musam Badalne Do (Pg. 29)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now