to kya taDap na thi ab ke mere pukare mein
to kyā taḌap na thī ab ke mire pukāre meñ
vagarna vo to chalā aatā thā ishāre meñ
vo baat us ko batānā bahut zarūrī thī
vo baat kis liye kahtā maiñ isti.āre meñ
mudām hijr-kade meñ vo yaad raushan hai
kahāñ hai ai dil-e-nākām tū ḳhasāre meñ
mire alāva sabhī log ab ye mānte haiñ
ġhalat nahīñ thī mirī raa.e us ke baare meñ
faqīr hai pa karāmat kisī ne dekhī nahīñ
guzar-basar hī kiyā kartā hai guzāre meñ
to kya taDap na thi ab ke mere pukare mein
wagarna wo to chala aata tha ishaare mein
wo baat us ko batana bahut zaruri thi
wo baat kis liye kahta main istiare mein
mudam hijr-kade mein wo yaad raushan hai
kahan hai ai dil-e-nakaam tu KHasare mein
mere alawa sabhi log ab ye mante hain
ghalat nahin thi meri rae us ke bare mein
faqir hai pa karamat kisi ne dekhi nahin
guzar-basar hi kiya karta hai guzare mein
- Book : Na Mau'ud (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.