Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya

Tahzeeb Hafi

tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya

Tahzeeb Hafi

terā chup rahnā mire zehn meñ kyā baiTh gayā

itnī āvāzeñ tujhe diiñ ki galā baiTh gayā

yuuñ nahīñ hai ki faqat maiñ use chāhtā huuñ

jo bhī us peḌ chhāñv meñ gayā baiTh gayā

itnā mīThā thā vo ġhusse bharā lahja mat pūchh

us ne jis jis ko bhī jaane kahā baiTh gayā

apnā laḌnā bhī mohabbat hai tumheñ ilm nahīñ

chīḳhtī tum rahī aur merā galā baiTh gayā

us marzī vo jise paas biThā le apne

is pe kyā laḌnā fulāñ merī jagah baiTh gayā

baat dariyāoñ sūraj na terī hai yahāñ

do qadam jo bhī mire saath chalā baiTh gayā

bazm-e-jānāñ meñ nashisteñ nahīñ hotīñ maḳhsūs

jo bhī ik baar jahāñ baiTh gayā baiTh gayā

tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya

itni aawazen tujhe din ki gala baiTh gaya

yun nahin hai ki faqat main hi use chahta hun

jo bhi us peD ki chhanw mein gaya baiTh gaya

itna miTha tha wo ghusse bhara lahja mat puchh

us ne jis jis ko bhi jaane ka kaha baiTh gaya

apna laDna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin

chiKHti tum rahi aur mera gala baiTh gaya

us ki marzi wo jise pas biTha le apne

is pe kya laDna fulan meri jagah baiTh gaya

baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan

do qadam jo bhi mere sath chala baiTh gaya

bazm-e-jaanan mein nashisten nahin hotin maKHsus

jo bhi ek bar jahan baiTh gaya baiTh gaya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Tahzeeb Hafi

Tahzeeb Hafi

RECITATIONS

Javed Naseem

Javed Naseem,

00:00/00:00
Javed Naseem

Tera chup rehna mere zahen mein kya beith gaya - Tehzeeb Hafi Javed Naseem

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now