Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqdir jab muawin-e-tadbir ho gai

Jagat Mohan Lal Ravan

taqdir jab muawin-e-tadbir ho gai

Jagat Mohan Lal Ravan

taqdīr jab muāvin-e-tadbīr ho ga.ī

miTTī pe nigāh to iksīr ho ga.ī

dil jaañ nisār-e-mai hai zabāñ tā.ib-e-sharāb

is kashmakash meñ ruuh tāzīr ho ga.ī

chhīñTeñ jo ḳhuuñ dāman-e-qātil meñ rah ga.iiñ

mahshar meñ mere qalb tafsīr ho ga.ī

qatl kījiye mujhe baḳhsh dījiye

ab ho ga.ī huzūr jo taqsīr ho ga.ī

shabnam oḌhī guloñ se mirā naqsha khiñch gayā

murjhā ga.ī kalī mirī tasvīr ho ga.ī

zindāniyān-e-kākul-e-hastī kidhar ko jaa.eñ

ik zulf sab ke paañv zanjīr ho ga.ī

maiñ kah chalā thā dāvar-e-mahshar se hāl-e-dil

ik surmagīñ nigāh gulū-gīr ho ga.ī

bas tham gayā safīr-e-amal kah ke nasīb

jis pe ḳhatm manzil-e-tadbīr ho ga.ī

toḌā hai dam abhī abhī bīmār-e-hijr ne

aa.e magar huzūr ko tāḳhīr ho ga.ī

jab apne aap par hameñ qaabū milā 'ravāñ'

āsān rāz-e-dahr tafsīr ho ga.ī

taqdir jab muawin-e-tadbir ho gai

miTTi pe ki nigah to iksir ho gai

dil jaan nisar-e-mai hai zaban taib-e-sharab

is kashmakash mein ruh ki tazir ho gai

chhinTen jo KHun ki daman-e-qatil mein rah gain

mahshar mein mere qalb ki tafsir ho gai

ya qatl kijiye mujhe ya baKHsh dijiye

ab ho gai huzur jo taqsir ho gai

shabnam oDhi gulon se mera naqsha khinch gaya

murjha gai kali meri taswir ho gai

zindaniyan-e-kakul-e-hasti kidhar ko jaen

ek zulf sab ke panw ki zanjir ho gai

main kah chala tha dawar-e-mahshar se haal-e-dil

ek surmagin nigah gulu-gir ho gai

bas tham gaya safir-e-amal kah ke ya nasib

jis ja pe KHatm manzil-e-tadbir ho gai

toDa hai dam abhi abhi bimar-e-hijr ne

aae magar huzur ko taKHir ho gai

jab apne aap par hamein qabu mila 'rawan'

aasan raaz-e-dahr ki tafsir ho gai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now