Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

Ghulam Husain Sajid

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

Ghulam Husain Sajid

sub.h tak jin se bahut bezār ho jaatā huuñ maiñ

raat hote unhī galiyoñ meñ kho jaatā huuñ maiñ

ḳhvāb meñ gum huuñ ki bāhar fazā achchhī nahīñ

aañkh khulte kahīñ zanjīr ho jaatā huuñ maiñ

khīñch laatī hai usī kūche meñ phir āvārgī

roz jis kūche se apne shahr ko jaatā huuñ maiñ

is añdhere meñ charāġh-e-ḳhvāb ḳhvāhish nahīñ

ye bhī kyā kam hai ki thoḌī der so jaatā huuñ maiñ

raat laatī hai kisī ke qurb ḳhvāhish magar

sub.h hote kisī se duur ho jaatā huuñ maiñ

meñ aatā hai ki duniyā ko badalnā chāhiye

aur apne aap se māyūs ho jaatā huuñ maiñ

baare bāġh-e-sehn-e-duniyā meñ bahut din rah liyā

ḳhush raho ab is galī se dosto jaatā huuñ maiñ

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

raat hote hi unhi galiyon mein kho jata hun main

KHwab mein gum hun ki bahar ki faza achchhi nahin

aankh khulte hi kahin zanjir ho jata hun main

khinch lati hai usi kuche mein phir aawargi

roz jis kuche se apne shahr ko jata hun main

is andhere mein charagh-e-KHwab ki KHwahish nahin

ye bhi kya kam hai ki thoDi der so jata hun main

raat lati hai kisi ke qurb ki KHwahish magar

subh hote hi kisi se dur ho jata hun main

ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye

aur apne aap se mayus ho jata hun main

bare bagh-e-sehn-e-duniya mein bahut din rah liya

KHush raho ab is gali se dosto jata hun main

Source :
  • Book : AURAAQ (Pg. 253)
  • Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
  • Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
  • Edition : April, May 1982
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now