Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sog ranjhe ke hain na hir ke hain

Anant Gupta

sog ranjhe ke hain na hir ke hain

Anant Gupta

sog rāñjhe ke haiñ na hiir ke haiñ

dard miirā lafz 'mīr' ke haiñ

sach nahīñ hai anaaj qillat

yaar faaqe yahāñ zamīr ke haiñ

jo sage lag rahe haiñ duniyā ko

vo zabān aur dil faqīr ke haiñ

jis ko zanjīr se mohabbat ho

ham talabgār us asiir ke haiñ

mandiroñ meñ na rok jaane se

us kurtī pe daaġh abiir ke haiñ

us ne nāḳhun se ḳhud tarāshe the

jism par jo nishān tiir ke haiñ

paaoñ 'anant' aatmā ke kaun paḌe

ham ġhulām aaj bhī sharīr ke haiñ

sog ranjhe ke hain na hir ke hain

dard mera ka lafz 'mir' ke hain

sach nahin hai anaj ki qillat

yar faqe yahan zamir ke hain

jo sage lag rahe hain duniya ko

wo zaban aur dil faqir ke hain

jis ko zanjir se mohabbat ho

hum talabgar us asir ke hain

mandiron mein na rok jaane se

us ki kurti pe dagh abir ke hain

us ne naKHun se KHud tarashe the

jism par jo nishan tir ke hain

paon 'anant' aatma ke kaun paDe

hum ghulam aaj bhi sharir ke hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now