Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sochte hain ki bulbula ho jaen

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

sochte hain ki bulbula ho jaen

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

sochte haiñ ki bulbula ho jaa.eñ

chand lamhe ji.eñ fanā ho jaa.eñ

dostī apnī der-pā kar leñ

aao kuchh din ko ham judā ho jaa.eñ

saath hai to manzileñ apnī

varna bhaTkeñ to lāpata ho jaa.eñ

ham ki ulfat meñ jaan tak de deñ

aur bichhḌeñ to sāneha ho jaa.eñ

rafta rafta tujhe tarāsheñ ham

dhīre dhīre tirī qabā ho jaa.eñ

yaad rakhnā bhī ik ibādat hai

kyuuñ na ham un hāfiza ho jaa.eñ

sochte hain ki bulbula ho jaen

chand lamhe jien fana ho jaen

dosti apni der-pa kar len

aao kuchh din ko hum juda ho jaen

sath tu hai to manzilen apni

warna bhaTken to lapata ho jaen

hum ki ulfat mein jaan tak de den

aur bichhDen to saneha ho jaen

rafta rafta tujhe tarashen hum

dhire dhire teri qaba ho jaen

yaad rakhna bhi ek ibaadat hai

kyun na hum un ka hafiza ho jaen

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now